






Gali main dard k purzay talaash karti thi
Mere khatoot k tukre talaash karti thi

Bhulaye kon Aziyat Pasandiyan us ki
Khushi k dhhair main sadmay talaash karti thi

Ajab hijar parasti thi uski fitrat main
Shajar k toote pattay talaash karti thi

Ghuma phira k judayi ki baat karti thi
Humesha hijar k harbay talaash karti thi

Duayen karti thi ujre howye mazarOn par
Bare ajeeb sahaaray talaash karti thi

Mujhe to aaj bataya hai badlOn ne "FaHaD"
Wo laut aane k raaste talaash karti thi


Comment